Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge
Introduction : Wo din the ya deewanapa tha,
Wo kuch pal the ya puri zindagi,
Lagta hai zindagi simat gai un dino me,
Isliye Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Wo pehla din, Ek nayi duniya me jana,
Thoda sa excited, thoda sa ghabrana,
Wo purani yaadon ko bhulkar, nayi
sakshiyaton ko apnana,
Purane dosto ko peeche chodkar, naye
logo me ghul mil jana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Naye naye chehro me kisi apne ko dhundhna,
Barso se jo dekha tha, us sapne ko dhundhna,
Dheere dheere karke sab logo ko apnana,
Aur apni nayi duniya me madmast ho jana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Wo ladke ladkiyo ka ikathe hoke group banana,
Ek dusre ki buraiyan karke khush ho jana,
Lunch time me ikathe hokar, ek dusre ka tifin khana,
Aur Maggi ki khushbhu se uska pata lagana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Wo ek dusre ke naamo se, ek dusre ko chedna aur chidana,
Wo couples banate banate, kabhi kabhi cross connection ho jana,
Wo truth n dare me chupe hue sach nikalvana,
Is trah karte karte, doston ka aur kareeb aa jana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Wo exams aae hi tension ka bhi aana,
Par fir bhi cool hokar exam dene jaana,
Wo kamlesh mam ke period me gappe, Madhu
Mam ka padana,
Wo kabhi kabhi bunk marke, Basket Ball
khelne jaana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Wo x-mas party ke liye naye kapde laana,
Party pe doston ke sang, nachna aur gaana,
Wo fairwell ke dino me attendence ka full ho jana,
Classes bunk marke, stairs pe gappe ladana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Wo chutiyan hone par ghumne firne jaana,
Aur school ki yaad aane par chakkar lagana,
Wo naya session start hone par chehre ka khil jana,
'We will be more responsible', ye soch kar school jana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Wo school ke trips, Wo buk fair ka bahana,
Wo slap days, birthday bumps, rona aur manana,
Wo phone calls, wo chatting, har trah se batiyana,
Dosti hi hai zindagi, is baat ka samajh me aana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Wo shilpa ke nakhre, sanchit ki flirting aur
sulabh ka gaana,
Wo richa ka bholapan, shinti ki lena aur
divya, yashika ko parties ke liye manana,
Wo kanika ki sardariyat, charu ka baniyapan aur
aashima ko hrithik ke naam se chidana,
Wo paras ke PJ's, Rajat ka zor zor se hasna aur
shubham ka half pant me parties me chale aana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Wo Fairwell ka din, 14th Feb ka aana,
Wo suit daalkar ban-than kar jaana,
Wo ladkiyon ko sari me dekhkar mazaak udana,
Aunty keh kar chedna aur fir unhe manana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Har party ki trah naachna gaana aur teachers
ko bhi nachana,
Wo hanste hanste sabko alvida keh jaana,
Juda hokar bhi, juda nahi hue, is baat ko dohrana,
Par puri raat yahi soch soch kar dukhi ho jaana,
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Wo final exams, wo kuch din aur mil paana,
Milte rahenge par kabhi, is baat ko apnana,
Wo antim alvidaa, aur doston ka bichad jaana,
Bas yahi tak the wo din is baat ka samajh aana
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge...
Yes I have lived the golden era of my life, and defying physics I would alwayz luv to go back in time. But I know the truth i.e. those days will never come back. But atleast I have some wonderful memories, which I can always cherish and Whenever I feel lonely, let down, depressed, these memories always bring smile on my face. I will never be able to forget these dayz as I have said
Yaad aate hai wo din, Yaad aate rahenge..........
5 comments:
you got me nostalgic to an extent more than i could handle yaar!! Those were truly the best days of our life.. "yaad aate hain wo din, yaad aate rahenge......" miss you all.. love you all!!
Thanx for the compliment.....And yes those really were the golden dayz
The poetry surely needs a word of commendation from ma side!! Laudable work!!
"Yaad aate hain woh din, yaad aate rahenge..."
Well its for u and becase of u ppl.....Dedicated to 12th A
Post a Comment